26 January Republic Day Speech In Hindi | Republic Day Speech In Hindi For School Children | 2014 Republic Day Speech In Hindi
Dosto, jaisa ke aap sab
jaante hain ke January ka maheena chal raha hai aur hamara national festival
Republic day aane wala hai. Aap sab Republic Day function ke tayaari bhi kar
rahe hain. Par kya koi jaanta hai ke hum yeh festival kyon manaate hain? Mere
kuchh sahpathi jaante bhi honge, par jo nahi jaante main unke liye Republic
Dayke bare kuchh batauga. Kripya dhyaan se sune.
Hamara desh Bharat azaad hua
tha 15 August, 1947 ko. Na jaane kitne veero ko apne jaan qurbaan karni padi
humein yeh azaadi dilwane ke liye. Azaadi ke baad zaroorat thi humein, apne
desh ke savidhaan ki yani ke constitution ki.
Aur hamare desh Bharat ka
savidhaan likhe Late Dr. Bhim Rao Ambedkar ji ne. Hamara ye savidhaan astitav
mein aaya 26 January, 1950 ko. Iss se pehle Bharat mein Government of India Act
(1935) lagu tha. To hiss liye hum har saal 26 January ko Republic Day ke roop
mein manaate hain. Yeh rashtriye tyohaar hamaare desh ke liye gaurav ka parteek
hai. Aur yeh desh bhakti ki bhawna se juda hua hai.
Iss din waise toh National
Holiday declared hai, par har school, college aur sarkar offices mein Republic
Day ko celebrate karte hain. Poore Bharat desh me Gantantra Divas harsho ullas
se manaya jata hai. Tarah Tarah ke rangarang karyakarm bhi aayojitki jaati hai. Saare
Bhaartiya naagrik desh ke mahan veeron ko shradhanjali samarpit karte hain. Iske
ilaava iss parade mein NCC, Scout ke cadets, Police ki tukdiyaan aur school
students bhi bhag lete hain. Har pardesh ki bhavya jhankiyaan dikhayi jati hai.
Aur sarv-shreshth jhanki ko
puruskaar bhi diya jata hai. Yeh rashtriya tyohaar hamare desh ke liye ek
mahatavpoorn din hai. Bharat ke pratham rastrapti Dr. Rajendra Prasad ne sabse
pehla karya kaal sambhala tha. Tabse ab tak is Bharat desh me kai neeti or kaanoon
ko mahatav diya gaya jise Bharat desh ke sarvadhik naagrik apnate hain.
Jai Hindi… Jai Bharat!!!
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteSabhi DESH WASIYON ko
ReplyDelete26 January ki Hardik Subh Kamnayen ...* !*:*,
Jai hind , jai bharat
Happy republic day
ReplyDelete